اردو हिंदी
Ye jo suna ek din wo haweli yaksar be-asar giri | Shaahi Shayari
ye jo suna ek din wo haweli yaksar be-asar giri

Ghazal

Ye jo suna ek din wo haweli yaksar be-asar giri

Jaun Eliya

;

ye jo suna ek din wo haweli yaksar be-asar giri
hum jab bhi sae mein baiThe dil par ek diwar giri

junhi muD kar dekha main ne bich uThi thi ek diwar
bas yun samjho mere upar bijli si ek bar giri

dhaar pe baD rakhi jae aur hum us ke ghayal Thahren
main ne dekha aur nazron se un palkon ki dhaar giri

girne wali un tamiron mein bhi ek saliqa tha
tum inTon ki puchh rahe ho miTTi tak hamwar giri

bedari ke bistar par main un ke KHwab sajata hun
nind bhi jin ki TaT ke upar KHwabon se nadar giri

KHub hi thi wo qaum-e-shahidan yani sab be-zaKHm-o-KHarash
main bhi us saf mein tha shamil wo saf jo be-war giri

har lamha ghamsan ka ran hai kaun apne ausan mein hai
kaun hai ye? achchha to main hun lash to han ek yar giri