ye jo subh ke bich diwar-e-shab si uThi lagti hai
hai aks-e-tahayyur ki ye dastan aur suni lagti hai
jo main KHwahishon mein ghiri chup bhari saaten takti hun
mujhe un ke andar talak teri KHwahish gaDi lagti hai
tera wird karti hui aasman se utarti hui
koi nur jaisi dua chaar-su gunjti lagti hai
mere aaine mein jo taswir teri ubhar aai hai
ye jhuTlane se faeda? mujh ko ye raushni lagti hai
faqat mere chehre pe hi rang khil ke nahin utre hain
shafaq sham ki meri aaankhon se bhi jhankti lagti hai

Ghazal
Ye jo subh ke bich diwar-e-shab si uThi lagti hai
Naheed Virk