ye jo shahtir hai palkon pe uTha lo yaro
ab koi aisa tariqa bhi nikalo yaro
dard-e-dil waqt ko paigham bhi pahunchaega
is kabutar ko zara pyar se palo yaro
log hathon mein liye baiThe hain apne pinjre
aaj sayyaad ko mahfil mein bula lo yaro
aaj siwan ko udheDo to zara dekhenge
aaj sanduq se wo KHat to nikalo yaro
rahnumaon ki adaon pe fida hai duniya
is bahakti hui duniya ko sambhaalo yaro
kaise aakash mein suraKH nahin ho sakta
ek patthar to tabiat se uchhaalo yaro
log kahte the ki ye baat nahin kahne ki
tum ne kah di hai to kahne ki saza lo yaro
Ghazal
Ye jo shahtir hai palkon pe uTha lo yaro
Dushyant Kumar