ye jo rangin tabassum ki ada hai mujh mein
mujh ko lagta hai koi mere siwa hai mujh mein
KHud bhi hairan hun azal se ki ye kya hai mujh mein
kaun shah-rag se meri bol raha hai mujh mein
umar bhar jis ko tere gham ki amanat samjha
ab wahi tar-e-nafas TuT gaya hai mujh mein
ek KHushbu si ubharti hai nafas se mere
ho na ho aaj koi aan basa hai mujh mein
mere qadmon pe zamane ki jabin jhuk jae
dewtaon ki tarah ek ana hai mujh mein
tum to kun kah ke nigahon se chhupe ho lekin
har ghaDi ek naya hashr bapa hai mujh mein
kaun tha jo mere ehsas ko raushan karta
umr bhar sirf mera dil hi jala hai mujh mein
dil kabhi zulmat-e-farda se hirasan na hua
ek KHurshid naya roz uga hai mujh mein
talKH-kaami se to kuchh aur nikharti hai 'hayat'
kis liye zahr koi ghol raha hai mujh mein

Ghazal
Ye jo rangin tabassum ki ada hai mujh mein
Masooda Hayat