اردو हिंदी
Ye jo phuT baha hai dariya phir nahin hoga | Shaahi Shayari
ye jo phuT baha hai dariya phir nahin hoga

Ghazal

Ye jo phuT baha hai dariya phir nahin hoga

Sarvat Husain

;

ye jo phuT baha hai dariya phir nahin hoga
ru-e-zamin par manzar aisa phir nahin hoga

zard gulab aur aainon ko chahne wali
aisi dhup aur aisa sawera phir nahin hoga

ghayal panchhi teri kunj mein aan gira hai
is panchhi ka dusra phera phir nahin hoga

main ne KHud ko jama kiya pachchis baras mein
ye saman to mujh se yakja phir nahin hoga

shahzadi tere mathe par ye zaKHm rahega
lekin is ko chumne wala phir nahin hoga

'sarwat' tum apne logon se yun milte ho
jaise un logon se milna phir nahin hoga