ye jo nang the ye jo nam the mujhe kha gae
ye KHayal-e-puKHta jo KHam the mujhe kha gae
kabhi apni aankh se zindagi pe nazar na ki
wahi zawiye ki jo aam the mujhe kha gae
main amiq tha ki pala hua tha sukut mein
ye jo log mahw-e-kalam the mujhe kha gae
wo jo mujh mein ek ikai thi wo na juD saki
yahi reza reza jo kaam the mujhe kha gae
ye ayan jo aab-e-hayat hai ise kya karun
ki nihan jo zahr ke jam the mujhe kha gae
wo nagin jo KHatim-e-zindagi se phisal gaya
to wahi jo mere ghulam the mujhe kha gae
main wo shoala tha jise dam se to zarar na tha
pa jo waswase tah-e-dam the mujhe kha gae
jo khuli khuli thin adawaten mujhe ras thin
ye jo zahr-e-KHanda-salam the mujhe kha gae
Ghazal
Ye jo nang the ye jo nam the mujhe kha gae
Khursheed Rizvi