ye jo mere andar phaili KHamoshi hai
tum kya jaano kitni gahri KHamoshi hai
us ki apni hi ek chhoTi si duniya hai
ek guDiya hai ek saheli KHamoshi hai
tera saya tere sath safar karta hai
mere sath musalsal chalti KHamoshi hai
furqat ka dukh bas wo samjhe jis par bite
main hun suna ghar hai gahri KHamoshi hai
shab ke pichhle lamhon mein aksar dekha hai
tanhai se mil kar roti KHamoshi hai
ye mausam ye manzar ruThe ruThe se hain
jaise sard rawayye waisi KHamoshi hai
lagta hai ki tum ne bhi kuchh dekh liya hai
har lamhe jo tum par tari KHamoshi hai
mujh ko 'ansar' rose pareshan kar deti hai
tere honTon par jo rahti KHamoshi hai

Ghazal
Ye jo mere andar phaili KHamoshi hai
Rashid Qayyum Ansar