ye jo ek shaKH hai hari thi abhi
us jagah par koi pari thi abhi
sar-basar rang-o-nur se labrez
ek surahi yahan dhari thi abhi
KHak kaisi hai mere panw tale
sat rangon ki ek dari thi abhi
is KHarabe mein koi aur bhi hai
aah kis ne yahan bhari thi abhi
saneha koi yan se guzra hai
ye faza kyun Dari Dari thi abhi
main basata tha us ke dil mein ghar
aur qismat mein be-ghari thi abhi
kyun na karte hum us ki dildari
us mein kuchh KHu-e-dilbari thi abhi
Ghazal
Ye jo ek shaKH hai hari thi abhi
Akbar Masoom