ye jo har shai mein teri jalwagari hai ai dost
ye bhi meri wasi-un-nazari hai ai dost
KHanda-e-gul hai jo zaKHm-e-jigari hai ai dost
mauj-e-gham mauj-e-nasim-sahari hai ai dost
teri firdaus-KHayali ho mubarak tujh ko
meri jannat mere daman ki tari hai ai dost
kya samae gham-e-insan nigah-e-insan mein
arsh-paimai bhi fahm-bashari hai ai dost
mujh ko aata hai musibat mein ghazal-KHwan hona
meri mearaj meri be-hunari hai ai dost
jis ko kahte hain teri yaad mein gum ho jaana
wo bhi ek silsila-e-ba-KHabri hai ai dost
toD kar mujh ko zara aaina-e-qalb hazar
kitna majbur fan-e-shisha-gari hai ai dost
Ghazal
Ye jo har shai mein teri jalwagari hai ai dost
Hazar Lakhnavi