ye jo har lamha meri sans hai aati jati
ek tufan hai sine mein uThati jati
maujen uTh uTh ke tah-e-ab chali jati hain
han magar kis ki hai taswir banati jati
ye shajar jis ke sabab raqs hai karta rahta
kash wo baad-e-saba dil ko nachati jati
bas wahi qimti ek shai jo mera hasil thi
har ghaDi pas hi rahti na yun aati jati
kam se kam sang-e-sar-e-rah to hota 'kausar'
aur duniya mujhe Thokar bhi lagati jati
Ghazal
Ye jo har lamha meri sans hai aati jati
Kausar Mazhari