اردو हिंदी
Ye jo hasil hamein har shai ki farawani hai | Shaahi Shayari
ye jo hasil hamein har shai ki farawani hai

Ghazal

Ye jo hasil hamein har shai ki farawani hai

Amjad Islam Amjad

;

ye jo hasil hamein har shai ki farawani hai
ye bhi to apni jagah ek pareshani hai

zindagi ka hi nahin Thor-Thikana malum
maut to tai hai ki kis waqt kahan aani hai

koi karta hi nahin zikr wafadari ka
in dinon ishq mein aasani hi aasani hai

kab ye socha tha kabhi dost ki yun bhi hoga
teri surat teri aawaz se pahchani hai

chain lene hi nahin deti kisi pal mujh ko
roz-e-awwal se mere sath jo hairani hai

ye bhi mumkin hai ki aabaadi ho is se aage
ye jo ta-hadd-e-nazar phailti virani hai

kyun sitare hain kahin aur kahin aansu hain
aankh walon ne yahi ramz nahin jaani hai

taKHt se taKHta bahut dur nahin hota hai
bas yahi baat hamein aap ko batlani hai

dost ki bazm hi wo bazm hai 'amjad' ki jahan
aql ko sath mein rakhna baDi nadani hai