ye jo dushman gham-e-nihani hai
ye bhi ek dost apna jaani hai
ghafil hum us se wo rahe hum se
umr-e-rafta ki qadr-dani hai
qasr tamir kar chuke hain bahut
manzil-e-gor ab banani hai
jis ki ulfat mein dil dhaDakta hai
ab talak us ki bad-gumani hai
aur bhi ek ghazal 'farasu' paDh
ab ye hangama-e-sher-KHwani hai

Ghazal
Ye jo dushman gham-e-nihani hai
France Gaudlib Queen Frasco