ye jo diwane se do-chaar nazar aate hain
in mein kuchh sahab-e-asrar nazar aate hain
teri mahfil ka bharam rakhte hain so jate hain
warna ye log to bedar nazar aate hain
dur tak koi sitara hai na koi jugnu
marg-e-ummid ke aasar nazar aate hain
mere daman mein shararon ke siwa kuchh bhi nahin
aap phulon ke KHaridar nazar aate hain
kal jinhen chhu nahin sakti thi farishton ki nazar
aaj wo raunaq-e-bazar nazar aate hain
hashr mein kaun gawahi meri dega 'saghar'
sab tumhaare hi taraf-dar nazar aate hain

Ghazal
Ye jo diwane se do chaar nazar aate hain
Saghar Siddiqui