ye jo bedar dikhai diya hun
aaKHiri bar dikhai diya hun
wahan mushkil tha sunai deta
shukr hai yar dikhai diya hun
aa hirasat se chhuDa hijran ko
main giraftar dikhai diya hun
panw bandhe hain wafa se jab ne
tez-raftar dikhai diya hun
jhil mein chand gira tha aur main
jhil ke par dikhai diya hun
mujh pe taswir laga di gai hai
kya main diwar dikhai diya hun
jaanta KHud ko nahin hun 'ahmad'
KHud ko be-kar dikhai diya hun
Ghazal
Ye jo bedar dikhai diya hun
Ahmad Kamran