ye jo apne hath mein daman sambhaale jate hain
pichhe pichhe in ke, in par marne wale jate hain
lutf o ranjish ka tamasha hai ki din mein lakh bar
gah bulae jate hain hum gah nikale jate hain
jaan se jate rahe hain bas-ki lakhon be-gunah
har taraf kuche mein us ke KHun ke nale jate hain
sai tu apni na kar ai girya sarf-e-shist-o-shu
dil ke dhone se koi ye dagh kale jate hain
gar nahin hai wada gah wo ko to kyun raaton ko log
us ke kuche mein andhere aur ujale jate hain
us ke kanon tak rasai kyun nahin hairan hun
arsh-e-azam tak to mere shab ke nale jate hain
ho gaya hun main to un ka 'mushafi' halqa-ba-gosh
yaad se meri kab un kanon ke baale jate hain
Ghazal
Ye jo apne hath mein daman sambhaale jate hain
Mushafi Ghulam Hamdani