ye jo aabaad hone ja rahe hain
bahut nashad hone ja rahe hain
judai ki ghaDi sar par khaDi hai
hum us ki yaad hone ja rahe hain
teri chashm-e-tamasha ki hawas mein
faqat barbaad hone ja rahe hain
giraftaran-e-dam-e-zulf-e-pechan
bahut aazad hone ja rahe hain
sabhi kuchh bhulta jata hai aur hum
isi mein shad hone ja rahe hain
sabhi aaina-ru o aaina-ha
ghiza-e-baad hone ja rahe hain
Ghazal
Ye jo aabaad hone ja rahe hain
Imran-ul-haq Chauhan