اردو हिंदी
Ye jhuT hai ki bichhaDne ka usko gham bhi nahin | Shaahi Shayari
ye jhuT hai ki bichhaDne ka usko gham bhi nahin

Ghazal

Ye jhuT hai ki bichhaDne ka usko gham bhi nahin

Sardar Asif

;

ye jhuT hai ki bichhaDne ka us ko gham bhi nahin
wo ro raha hai magar us ki aankh nam bhi nahin

ye baat sach hai ki wo zindagi nahin meri
magar wo mere liye zindagi se kam bhi nahin

tujhe pata hi nahin meri rah kaisi hai
tu chal sakega mere sath do qadam bhi nahin

ye kya ki lagta hai ab sab ko KHali KHali sa
mere alawa koi chiz ghar mein kam bhi nahin

main tujh se jhuk ke mila hun magar ye dhyan rahe
baDa nahin hun magar tujh se qad mein kam bhi nahin

shanaKHt us ki alag hai mera wajud alag
juda bhi mujh se nahin hai wo mujh mein zam bhi nahin