ye jamal kya ye jalal kya ye uruj kya ye zawal kya
wo jo peD jaD se ukhaD gaya use mausamon ka malal kya
wo jo lamha lamha bikhar gaya wo jo apni had se guzar gaya
use fikr-e-sham-o-sahar ho kya use ranjish-e-mah-o-sal kya
wo jo be-niyaz sa ho gaya wo jo ek raaz sa ho gaya
jise kuchh gharaz hi nahin rahi use dast-e-harf-e-sawal kya
hua reza reza jo dil tera use joD joD ke mat dikha
wo jo apne husn mein mast hai use aaine ka KHayal kya
wahi hijr raat ki baat hai wahi chand-taron ka sath hai
jo firaq se hua aashna use aarzu-e-visal kya
kisi aur se karen kyun gila hamein apne-ap se dukh mila
wo jo dard-e-dil se ho aashna use duniya-bhar ka wabaal kya
wahi gard gard ghubar hai wahi chaaron or fishaar hai
wo jo KHud ko bhi nahin jaanta wo ho mera waqif-e-haal kya
use 'sad' kaisa bataen hum use kis se ja ke milaen hum
wo to KHud sarapa misal hai ye gulab kya ye ghazal kya
Ghazal
Ye jamal kya ye jalal kya ye uruj kya ye zawal kya
Saadullah Shah