اردو हिंदी
Ye jalwa-gah-e-naz tamashaiyon se hai | Shaahi Shayari
ye jalwa-gah-e-naz tamashaiyon se hai

Ghazal

Ye jalwa-gah-e-naz tamashaiyon se hai

Shakeb Jalali

;

ye jalwa-gah-e-naz tamashaiyon se hai
raunaq jahan ki anjuman-araiyon se hai

rote hain dil ke zaKHm to hansta nahin koi
itna to faeda mujhe tanhaiyon se hai

diwana-e-hayat ko ek shaghl chahiye
nadaniyon se kaam na danaiyon se hai

qaid-e-bayan mein aae jo na-guftani na ho
wo rabta ki qalb ki gahraiyon se hai

nadim nahin hun dagh-e-faro-maegi pe main
tera bharam bhi meri jabin-saiyon se hai