ye jalwa-e-gah-e-KHas hai kuchh aam nahin hai
kamzor nigahon ka yahan kaam nahin hai
jis mein na chamakte hon mohabbat ke sitare
wo sham agar hai to meri sham nahin hai
kya jaane mohabbat ki hai ye kaun si manzil
wo sath hain phir bhi mujhe aaram nahin hai
tum samne KHud aae nawazish ye tumhaari
ab meri nazar par koi ilzam nahin hai
afsos wo kab meri nazar dekh rahe hain
jab meri nazar mein koi paigham nahin hai
shayad ki 'nazir' uTh chuka ab dil ka janaza
ab sans ke pardon mein wo kohram nahin hai
Ghazal
Ye jalwa-e-gah-e-KHas hai kuchh aam nahin hai
Nazeer Banarasi