ye jam-o-baada-o-mina to sab dilase hain
labon ko dekh wahi umr-bhar ke pyase hain
karo jo yaad to hum se bhi nisbaten hain tumhein
wo nisbaten jo kaf-e-pa ko naqsh-e-pa se hain
zara mein zaKHm lagae zara mein de marham
baDe ajib rawabit mere saba se hain
tere baghair bhi kaTti rahi zara na ruki
shikayaten mujhe umr-e-gurez-pa se hain
na bah sakin to ragon mein rawan-dawan nashtar
nikal bahin to ye aansu zara zara se hain
Ghazal
Ye jam-o-baada-o-mina to sab dilase hain
Khursheed Rizvi