ye izn-e-am hai ai waizo aao wuzu kar lo
KHuda ka nam le kar baiat-e-dast-e-subu kar lo
gulon ki chaak damani pe kyun jate ho diwano
KHud apne hi jigar ke chaak to pahle rafu kar lo
ye bazm-e-mai hai yan pina pilana hi ibaadat hai
ijazat hai agar chaho KHuda ko ru-ba-ru kar lo
kalim aao to mere sath tum bhi tur-e-sina tak
zara is dushman-e-iman-o-din se guftugu kar lo
KHuda jaane ye kaisi aag hai hum ne mohabbat mein
yahi dekha ki dil ko KHak kar lo ya lahu kar lo
yun hi rote rahoge umr bhar meri tarah 'rifat'
kahin aisa na ho tum bhi kisi ki aarzu kar lo

Ghazal
Ye izn-e-am hai ai waizo aao wuzu kar lo
Rifat-ul-Qasmi