ye ishq ek imtihan to le main pas kar lun
hudud hun to hudud sari cross kar lun
bahut kaThin masalon ki tahlil bhi hai mumkin
agar main ek masale ke TukDe pachas kar lun
tamam qudrat khaDi hai imkan ke nazariye par
qadam uThane se pahle sikke se toss kar lun
kisan kheton se ghar na ja paya sochta tha
ikaTThi pahle main umr-bhar ki kapas kar lun
ye zindagi mumkinat ka ek hara shajar hai
koi to ummid bandh lun koi aas kar lun
shujaaton ke lagenge sab waqiat jhuTe
main KHud ko gar mubtala-e-KHuaf-o-hiras kar lun
safar to kaT jaega magar kya safar kaTega
so apne hamrah chand phulon ki bas kar lun
main aankh mein muntaqil karun raushni ko 'zishan'
magar ye behtar hai dhup ka inikas kar lun
Ghazal
Ye ishq ek imtihan to le main pas kar lun
Zeeshaan sajid