ye iqamat hamein paigham-e-safar deti hai
zindagi maut ke aane ki KHabar deti hai
zal-e-duniya hai ajab tarah ki allama-e-dahr
mard-e-din-dar ko bhi dahriya kar deti hai
baDhti jati hai jo mashq-e-sitam us zalim ki
kuchh mohabbat meri islah magar deti hai
faeda de tere bimar ko kya KHak dawa
ab to iksir bhi dije to zarar deti hai
shama ghabra na shab-e-gham se ki koi dam mein
tujh ko kafur-e-safedi-e-sahar deti hai
ghuncha hansta hai tere aage jo gustaKHi se
chaTKHana munh pe wahin baad-e-sahar deti hai
shama bhi kam nahin kuchh ishq mein parwane se
jaan deta hai agar wo to ye sar deti hai
dam-ba-dam zaKHm pe ek zaKHm hai dam lene ki
mujh ko fursat nahin wo tegh-e-nazar deti hai
kahte sunte nahin kuchh hum to shab-e-hijr mein par
nala-e-dil ka jawab aah-e-jigar deti hai
tira-baKHti meri karti hai pareshan mujh ko
tohmat is zulf-e-siyah-fam pe dhar deti hai
naKHl-e-mizhgan se hai kya jaaniye kya chashm-e-samar
chashm pani ki jagah KHun-e-jigar deti hai
deti sharbat hai kise zahr bhari aankh teri
ain ehsan hai wo zahr bhi gar deti hai
koi ghammaz nahin meri taraf se ai 'zauq'
kan us ke meri fariyaad hi bhar deti hai
Ghazal
Ye iqamat hamein paigham-e-safar deti hai
Sheikh Ibrahim Zauq