اردو हिंदी
Ye intiha-e-junun hai ki ghair hi sa laga | Shaahi Shayari
ye intiha-e-junun hai ki ghair hi sa laga

Ghazal

Ye intiha-e-junun hai ki ghair hi sa laga

Sadique Indori

;

ye intiha-e-junun hai ki ghair hi sa laga
jo aashna tha kabhi aaj ajnabi sa laga

wo ek saya jo behis tha murde ki manind
qarib aaya to ek aks-e-zindagi sa laga

KHud apni lash liye phir raha tha kandhon par
wo aadmi to na tha phir bhi aadmi sa laga

wo ek wajud jo pale hue tha sanpon ko
nazar ki zad mein jo aaya to bansuri sa laga

tamam umr jise paik-e-dosti samjha
hua jo tajraba wo naqsh-e-dushmani sa laga

wo ek karb-e-musalsal jo dil jalata tha
tum aa ke pas jo baiThe to sarKHushi sa laga

ba-zahir ek hi chehra tha samne lekin
kabhi kisi ka laga to kabhi kisi ka laga

mere shuur ki kam-maigi ki ai 'sadiq'
yaqin bhi kabhi taswir-e-wahm hi sa laga