ye ek tera jalwa sanam chaar su hai
nazar jis taraf kijiye tu hi tu hai
ye kis mast ke aane ki aarzu hai
ki dast-e-dua aaj dast-e-subu hai
na hoga koi mujh sa mahw-e-tasawwur
jise dekhta hun samajhta hun tu hai
mukaddar na ho yar to saf kah dun
na kyunkar ho KHud-bin ki aaina-ru hai
kabhi ruKH ki baaten kabhi gesuon ki
sahar se yahi sham tak guftugu hai
kisi gul ke kuche se guzri hai shayad
saba aaj jo tujh mein phulon ki bu hai
nahin chaak-daman koi mujh sa 'goya'
na baKHiya ki KHwahish na fikr-e-rafu hai
Ghazal
Ye ek tera jalwa sanam chaar su hai
Goya Faqir Mohammad