ye husn hai aah ya qayamat ki ek bhabhuka bhabhak raha hai
falak pe suraj bhi tharthara kar munh us ka hairat se tak raha hai
khajuri choTi ada mein moTi jafa mein lambi wafa mein chhoTi
hai aisi khoTi ki dil har ek ka har ek laT mein laTak raha hai
wo nichi kafir siyah paTTi ki dil ke zaKHmon pe bandhe paTTi
paDhi hai jis ne ki us ki paTTi wo paTTi se sar Tapak raha hai
wo matha aisa ki chand nikhre phir us ke upar wo baal bikhre
dil us ke dekhe se kyun na bikhre ki misl-e-suraj chamak raha hai
wo chin KHud-raw kaTile abru wo chashm jadu nigahen aahu
wo palken kaj-KHu ki jin ka har mu jigar ke andar khaTak raha hai
ghazab wo chanchal ki shoKH-bini phir us pe nathunon ki nukta-chini
phir us pe nath ki wo ham-nashini phir us pe moti phaDak raha hai
lab o dahan bhi wo narm-o-nazuk misi o pan bhi wo qahr-o-afat
suKHan bhi karne ki wo latafat ki goya moti Tapak raha hai
wo kan KHubi mein chhak rahe hain jawahron mein jhamak rahe hain
idhar ko jhumke jhamak rahe hain udhar ka baala chamak raha hai
surahi gardan wo aabgina phir aage sina bhi jun nagina
bhara hai jis mein tamam kina ki jun nagina damak raha hai
kuchen wo kuchh kuchh samar daraKHti kuchh un ki saKHti wo kuchh karaKHti
hain jis ne dekhe wo phal darKHti kaleja us ka dhaDak raha hai
wo surKH angiya jo kas rahi hai wo chus rahi hai ukas rahi hai
kuchh aise Dhab se wo kas rahi hai ki us ka kasna kasak raha hai
wo peT dil ko lapeT lewe wo naf ji ko sameT lewe
mazar ji ka jhapeT lewe kuchh aisa peDu phaDak raha hai
wo piTh gori kamar wo patli ghazab lagawaT wo phir surin ki
ab aage kahiye to kya kahun main ki hosh is ja ThiThuk raha hai
faqat wo champe ki ek kali hai kuchh ek mundi hai kuchh ek khuli hai
salaKH sone ki ek Dali hai ki goya kundan damak raha hai
wo pyari ranen wo gol saqen wo kaf mulaem wo narm pahunche
kaDi kaDi se khaDak rahi hai kaDa kaDe se khaDak raha hai
'nazir' KHubi main us pari ki kahun kahan tak sana bana kar
sifat sarapa mein jis ke likhne dil ab usi se aTak raha hai
Ghazal
Ye husn hai aah ya qayamat ki ek bhabhuka bhabhak raha hai
Nazeer Akbarabadi