ye hujum-e-rasm-o-rah duniya ki pabandi bhi hai
ghaaliban kuchh shaiKH ko zom-e-KHirad-mandi bhi hai
bijliyon se sazishen bhi kar raha hai baghban
hum chaman walon ko hukm-e-ashiyan-bandi bhi hai
hazrat-e-dil ko KHuda rakkhe wahi hain shorishen
dard-e-mahrumi bhi soz-e-arzumandi bhi hai
mai-kade ki istelahon mein bahut kuchh kah gae
warna is mahfil mein dastur-e-zaban-bandi bhi hai
us ke jalwon ki fusun-sazi musallam hai magar
kuchh nigah-e-shauq ki is mein hunar-mandi bhi hai
us ne 'taban' kar diya aazad ye kah kar ki ja
teri aazadi mein ek shan-e-nazar-bandi bhi hai
Ghazal
Ye hujum-e-rasm-o-rah duniya ki pabandi bhi hai
Taban Ghulam Rabbani