ye hijr ka rasta hai Dhalanen nahin hotin
sahra mein charaghon ki dukanen nahin hotin
KHushbu ka ye jhonka abhi aaya hai udhar se
kis ne kaha sahra mein azanen nahin hotin
kya marte hue log ye insan nahin hain
kya hanste hue phulon mein jaanen nahin hotin
ab koi ghazal-chehra dikhai nahin deta
ab shahr mein abru ki kamanen nahin hotin
in par kisi mausam ka asar kyun nahin hota
radd kyun teri yaadon ki uDanen nahin hotin
ye sher hai chhup kar kabhi hamla nahin karta
maidani ilaqon mein machanen nahin hotin
kuchh baat thi jo lab nahin khulte the hamare
tum samjhe the gungon ke zabanen nahin hotin
Ghazal
Ye hijr ka rasta hai Dhalanen nahin hotin
Munawwar Rana