ye hausla bhi kisi roz kar ke dekhungi
agar main zaKHm hun us ka to bhar ke dekhungi
kisi taraf koi zina nazar nahin aata
main us ke zehn mein kyun-kar utar ke dekhungi
main raushni hun to meri pahunch kahan tak hai
kabhi charagh ke niche bikhar ke dekhungi
suna dorahe pe ummid ke sarae hai ek
main apni rah usi mein Thahar ke dekhungi
Ghazal
Ye hausla bhi kisi roz kar ke dekhungi
Aziz Bano Darab Wafa