ye hasin log hain tu in ki murawwat pe na ja
KHud hi uTh baiTh kisi izn o ijazat pe na ja
surat-e-shama tere samne raushan hain jo phul
un ki kirnon mein naha zauq-e-samaat pe na ja
dil si check-book hai tere pas tujhe kya dhaDka
ji ko bha jae to phir chiz ki qimat pe na ja
itna kam-zarf na ban us ke bhi sine mein hai dil
us ka ehsas bhi rakh apni hi rahat pe na ja
dekhta kya hai Thahar kar meri jaanib har roz
rauzan-e-dar hun meri did ki hairat pe na ja
tere dil-soKHta baiThe hain sar-e-baam abhi
baal khole hue taron bhari is chhat pe na ja
meri poshak to pahchan nahin hai meri
dil mein bhi jhank meri zahiri haalat pe na ja
Ghazal
Ye hasin log hain tu inki murawwat pe na ja
Aitbar Sajid