اردو हिंदी
Ye hum par lutf kaisa ye karam kya | Shaahi Shayari
ye hum par lutf kaisa ye karam kya

Ghazal

Ye hum par lutf kaisa ye karam kya

Aziz Warsi

;

ye hum par lutf kaisa ye karam kya
badal Dale hain andaz-e-sitam kya

zamana hech hai apni nazar mein
zamane ki KHushi kya aur gham kya

jab us mahfil ko hum kahte hain apna
phir us mahfil mein fikr-e-besh-o-kam kya

nazar aati hai duniya KHub-surat
mere saghar ke aage jam-o-jam kya

jabin hai be-niyaz-e-kufr-o-iman
dar-e-but-KHana kya sehn-e-haram kya

teri chashm-e-karam ho jis ki jaanib
use phir imtiyaz-e-besh-o-kam kya

mere mah-e-munawwar tere aage
charagh-e-dair kya sham-e-haram kya

nigah-e-naz ke do shobade hain
'aziz' apna wajud apna adam kya