ye hum ghazal mein jo harf-o-bayan banate hain
hawa-e-gham ke liye khiDkiyan banate hain
unhen bhi dekh kabhi ai nigar-e-sham-e-bahaar
jo ek rang se taswir-e-jaan banate hain
nigah-e-naz kuchh un ki bhi hai KHabar tujh ko
jo dhup mein hain magar badliyan banate hain
hamara kya hai jo hota hai ji udas bahut
to gul tarashte hain titliyan banate hain
kisi tarah nahin jati fasurdagi dil ki
to zard rang ka ek aasman banate hain
dil-e-sitam-zada kya hai lahu ki bund to hai
is ek bund ko hum be-karan banate hain
bala ki dhup thi din bhar to sae bunte the
andheri raat hai chingariyan banate hain
hunar ki baat jo puchho to muKHtasar ye hai
kashid karte hain aag aur dhuan banate hain
Ghazal
Ye hum ghazal mein jo harf-o-bayan banate hain
Ahmad Mushtaq