ye hai to sab ke liye ho ye zid hamari hai
is ek baat pe duniya se jang jari hai
uDan walo uDanon pe waqt bhaari hai
paron ki ab ke nahin hauslon ki bari hai
main qatra ho ke bhi tufan se jang leta hun
mujhe bachana samundar ki zimmedari hai
isi se jalte hain sahra-e-arzu mein charagh
ye tishnagi to mujhe zindagi se pyari hai
koi batae ye us ke ghurur-e-beja ko
wo jang main ne laDi hi nahin jo haari hai
har ek sans pe pahra hai be-yaqini ka
ye zindagi to nahin maut ki sawari hai
dua karo ki salamat rahe meri himmat
ye ek charagh kai aandhiyon pe bhaari hai

Ghazal
Ye hai to sab ke liye ho ye zid hamari hai
Waseem Barelvi