ye hadsa meri aankhon se gar nahin hota
to koi gham bhi mera ham-safar nahin hota
hawa ke KHauf se lo thartharaati rahti hai
bujhe charagh ko aandhi ka Dar nahin hota
qadam qadam pe yahan gham ki dhup bikhri hai
koi safar bhi KHushi ka safar nahin hota
KHuda ki tarah mere dil mein gar na tu basta
to mera dil bhi ibaadat ka ghar nahin hota
kisi ko yunhi wafaon se mat nawaza kar
ki be-wafa pe wafa ka asar nahin hota
Ghazal
Ye hadsa meri aankhon se gar nahin hota
Chitransh Khare