ye hadsa bhi to kuchh kam na tha saba ke liye
gulon ne kis liye bose teri qaba ke liye
wahan zamin par un ka qadam nahin paDta
yahan taraste hain hum log naqsh-e-pa ke liye
tum apni zulf bikhero ki aasman ko bhi
bahana chahiye mahshar ke iltawa ke liye
ye kis ne pyar ki shamon ko bad-dua di hai
ujaD rahon mein jalti rahen sada ke liye
abhi to aag se sahra paDe hain raste mein
ye ThanDaken hain fasane ki ibtida ke liye
sulag raha hai chaman mein bahaar ka mausam
kisi hasin ko aawaz do KHuda ke liye

Ghazal
Ye hadsa bhi to kuchh kam na tha saba ke liye
Saeed Ahmad Akhtar