ye hadisa bhi sar-e-rahguzar hona tha
teri talash mein mujh ko ghubar hona tha
uchak liya hai unhen bhi KHizan ke mausam ne
wo phul-pat ki jin ko bahaar hona tha
hamein KHabar thi teri tarz-e-baadshahi se
hunar-warow ko hi be-iKHtiyar hona tha
unhi ke hath gareban mein paDe hue hain
jinhen sada se hi KHidmat-guzar hona tha
guman ki dhul mere dil pe mal gaya hai wahi
wo shaKHs jis ko mera e'tibar hona tha
bharosa ghair ki chhanw pe hum na karte agar
saron pe saya-e-parwardigar hona tha
badal diya unhen miTTi ke bartanon mein 'nabil'
wo chizen jin ko bahut paedar hona tha
Ghazal
Ye hadisa bhi sar-e-rahguzar hona tha
Nabeel Ahmad Nabeel