ye gila dil se to hargiz nahin jaana sahab
sab ne jaana hamein par tum ne na jaana sahab
in bayanon se gharaz hum ne ye jaana sahab
aap ko KHun hamara hai bahana sahab
chhoD kar aap ke kuche ko phirun sahra mein
so to majnun sa nahin hun main diwana sahab
yaad the hum ko jawani mein to sau makr-o-fareb
ek karishma tha tumhein dam mein lana sahab
ab jo buDhe hain to ab bhi hamein shaitan 'nazir'
hans ke kahta hai aji aaiye nana-sahib
Ghazal
Ye gila dil se to hargiz nahin jaana sahab
Nazeer Akbarabadi