ye ghar sarab-e-tamanna dikhai deta hai
jise bhi dekhiye pyasa dikhai deta hai
ye kaenat bhi ek KHwab-e-na-tamam si hai
aur is ka silsila dhoka dikhai deta hai
qarib aae to lagta hai jism KHushbu ka
wo dur se koi shoala dikhai deta hai
main ek makan ki tarif kis tarah kar dun
ye sara shahr hi achchha dikhai deta hai
hazar chehre dhundlakon mein kho gae 'ashhar'
jidhar bhi dekhiye sahra dikhai deta hai
Ghazal
Ye ghar sarab-e-tamanna dikhai deta hai
Iqbal Ashhar Qureshi