ye ghar jo hamare liye ab dasht-e-junun hai
aabaad bhi rahta tha kabhi apno ke dam se
sau bar isi tarah main mar mar ke jiya hun
derina talluq hai mera maqtal-e-gham se
ye jina bhi kya jina hai sar phoDna Thahra
qismat ko hai jab wasta patthar ke sanam se
bas itna ghanimat rahe un se ye talluq
hum apne ko badlen na wo baz aaen sitam se
aawaz na do 'shams' ko taDpega bichaara
aazad to ho jae zara band-e-alam se
Ghazal
Ye ghar jo hamare liye ab dasht-e-junun hai
Shams Farrukhabadi