ye gardish-e-haalat ye afkar-e-zindagi
kaT jae jaise bhi ho shab-tar-e-zindagi
rakhta hai us ko kitne masail mein gher kar
aazad ho na jae giraftar-e-zindagi
ab aur kya nisar karen tujh pe ai hayat
sab kuchh luTa chuke sar-e-bazar-e-zindagi
main kya kahun ki sharm si aati hai doston
jab dekhta hun pasti-e-kirdar-e-zindagi
kya dekhte hi dekhte sab kuchh badal gae
raftar-e-zindagi na wo guftar-e-zindagi
kya KHak kam hon 'taj' ye aalam-e-rozgar
hai zindagi ke sath ye aazar-e-zindagi
Ghazal
Ye gardish-e-haalat ye afkar-e-zindagi
Riyasat Ali Taj