اردو हिंदी
Ye gard-e-rah ye mahaul ye dhuan jaise | Shaahi Shayari
ye gard-e-rah ye mahaul ye dhuan jaise

Ghazal

Ye gard-e-rah ye mahaul ye dhuan jaise

Farooq muztar

;

ye gard-e-rah ye mahaul ye dhuan jaise
hawa ke ruKH pe ho tahrir dastan jaise

hamara rabt-o-talluq hai chand shamon ka
shajar pe tair-e-mausam ka aashiyan jaise

ajib KHauf sa hai pattharon ki zad par hun
badan ho apna koi kanch ka makan jaise

ye aasman-o-zamin ka tilism kab TuTe
har ek wajud muallaq ho darmiyan jaise

lab-o-dahan se koi kaam hi nahin leta
har ek baat hai na-qabil-e-bayan jaise