ye gham nahin hai ki ab aah-e-na-rasa bhi nahin
ye kya hua ki mere lab pe iltija bhi nahin
sitam hai ab bhi umid-e-wafa pe jita hai
wo kam-nasib ki shaista-e-jafa bhi nahin
nigah-e-naz-e-ibarat hai zindagi jis se
sharik-e-dard to kya dard-ashna bhi nahin
samajh raha hun amanat mata-e-sabr ko main
agarche ab nigah-e-sabr-e-azma bhi nahin
wo karwan-e-nishat-o-tarab kahan hamdam
jo DhunDhiye to kahin koi naqsh-e-pa bhi nahin
hai dil ke waste sham-e-umid-o-mashal-o-rah
wo ek nigah jise dil se wasta bhi nahin
koi tabassum-e-jaan-baKHsh ko tarasta hai
shahid-e-ishwa-e-rangin ka KHun-baha bhi nahin
ye kyun hai shoala-e-betab ki tarah muztar
meri nazar ki abhi lutf-ashna bhi nahin
ba-shakl-e-qissa-e-dar-o-rasan na ho mashhur
wo ek fasana-e-gham tum ne jo suna bhi nahin
tamam harf-o-hikayat miTa gai dil se
nigah-e-naz ne kahne ko kuchh kaha bhi nahin
wo kushta-e-karm-e-yar kya kare ki jise
ba-in tabahi-e-dil shikwa-e-jafa bhi nahin
Ghazal
Ye gham nahin hai ki ab aah-e-na-rasa bhi nahin
Habeeb Ahmad Siddiqui