ye gham bhi hai ki tere pyar ka dawa nahin karta
KHushi bhi hai ki apne-ap se dhoka nahin karta
agar main ne tujhe duniya pe qurban kar diya to kya
yahan insan jine ke liye kya kya nahin karta
jo un sone ki dahlizon pe ja kar KHatm hoti hain
main un galiyon se ab tera pata puchha nahin karta
wo jis par tu ne do dil ek nawak se guzare the
main ab us peD ke sae mein bhi baiTha nahin karta
main apne-ap ko DhunDunga apni shakl ke andar
main apni be-dili ka aaina maila nahin karta
main apne jism ke sahil pe teri aarzu likkhun
yaqin ho gar ki pani ret se guzra nahin karta
Ghazal
Ye gham bhi hai ki tere pyar ka dawa nahin karta
Nisar Nasik