اردو हिंदी
Ye ghalat hai ye sal Thik nahin | Shaahi Shayari
ye ghalat hai ye sal Thik nahin

Ghazal

Ye ghalat hai ye sal Thik nahin

Imran Shamshad

;

ye ghalat hai ye sal Thik nahin
har ghaDi ka malal Thik nahin

zindagi ek KHayal-KHana hai
aap ka ye KHayal Thik nahin

phul ko dhul ki zarurat hai
is qadar dekh-bhaal Thik nahin

girne wale ne sar uTha ke kaha
in sitaron ki chaal Thik nahin

aaina-saz Thik kahta hai
shishagar ki misal Thik nahin

sath chalte raho magar KHamosh
is safar mein sawal Thik nahin

aap ke naKHunon se yaad aaya
mere zaKHmon ka haal Thik nahin

itni chhoTi si baat par 'imrran'
itna gahra malal Thik nahin