ye faza-e-nil-gun ye baal-o-par kafi nahin
mah-o-anjum tak mera zauq-e-safar kafi nahin
ek saat ek sadi hai ek nazar aafaq-gir
ab nizam-e-gardish-e-sham-o-sahar kafi nahin
phir junun ko wusat-e-aflak hai koh-e-nida
ai dil-e-diwana dasht-e-pur-KHatar kafi nahin
ye hawa-e-nam ye sine mein sulagti aag si
aah ye umr-e-rawan ki rah-guzar kafi nahin
phir mashiyyat se ulajhti hai meri diwangi
nala-e-shab-gir ashkon ke guhar kafi nahin
aarzu-e-be-karan hai aur jism-e-na-tawan
kya rag-e-jaan ke liye ye neshtar kafi nahin
KHunki-e-shabnam se ghunche ko nahin taskin-e-qalb
zaKHm-e-gul ko ab nasim-e-chaara-gar kafi nahin
shisha-e-shab mein bhari hai 'fauq' jo sahba-e-kaif
qatra qatra bhi piyun to raat bhar kafi nahin

Ghazal
Ye faza-e-nil-gun ye baal-o-par kafi nahin
Hanif Fauq