ye faqat shorish-e-hawa to nahin
koi mujh ko pukarta to nahin
bol ai aKHtar-e-ghunuda-e-subh
koi raaton ko jagta to nahin
sun ki ye madd-o-jazr-e-sahil-e-bahr
majraon ka majra to nahin
zehn par ek khurduri si lakir
kankhajure ka rasta to nahin
ret par chaDh rahi hai ret ki tah
babul o misr o nainwa to nahin
nok-e-har-KHar-o-KHas hai KHun-alud
ruh-e-sahra barhana-pa to nahin
ai meri jaan-e-mubtala ke sukun
tu koi jaan-e-mubtala to nahin
tere jism-e-hasin mein KHwabida
bagh-e-jannat ka azhdaha to nahin
Ghazal
Ye faqat shorish-e-hawa to nahin
Rais Amrohvi

