اردو हिंदी
Ye falak ye mah-o-anjum ye zamin ye zamana | Shaahi Shayari
ye falak ye mah-o-anjum ye zamin ye zamana

Ghazal

Ye falak ye mah-o-anjum ye zamin ye zamana

Jigar Moradabadi

;

ye falak ye mah-o-anjum ye zamin ye zamana
tere husn ki hikayat mere ishq ka fasana

ye hai ishq ki karamat ye kamal-e-shairana
abhi munh se baat nikli abhi ho gai fasana

ye mera payam kahna tu saba muaddabana
ki guzar gaya hai pyare tujhe dekhe ek zamana

mujhe chaak-e-jeb-o-daman se nahin munasibat kuchh
ye junun hi ko mubarak rah-o-rasm-e-amiyana

tujhe hadsat-e-paiham se bhi kya milega nadan
tera dil agar ho zinda to nafas bhi taziyana

wo ada-e-dilbari ho ki nawa-e-ashiqana
jo dilon ko fath kar le wahi fateh-e-zamana