ye ehtiyat ishq pe lazim sada rahe
har-chand qurbaten hon magar fasla rahe
hajat nahin ki jam-o-subu mai-kada rahe
dil ka teri nigah se bas rabta rahe
mah-o-nujum-o-shams ki tham jaen gardishen
Thahre teri nazar to zamana ruka rahe
mamur KHushbuon se rahe gulshan-e-wajud
bas ek tujhi ko zehn agar sochta rahe
ranai-e-jamal ka aalam na puchhiye
ek bar dekh le jo use dekhta rahe
fariyaad le ke jaen bhi ahl-e-chaman kahan
jab baghban KHud apna chaman luTta rahe
kuchh der aur ai shab-e-hijran Thahar abhi
kuchh der aur dard ka tufan uTha rahe

Ghazal
Ye ehtiyat ishq pe lazim sada rahe
Rohit Soni u0027Tabishu0027