اردو हिंदी
Ye durweshon ki basti hai yahan aisa nahin hoga | Shaahi Shayari
ye durweshon ki basti hai yahan aisa nahin hoga

Ghazal

Ye durweshon ki basti hai yahan aisa nahin hoga

Munawwar Rana

;

ye durweshon ki basti hai yahan aisa nahin hoga
libas-e-zindagi phaT jaega maila nahin hoga

share-bazar mein qimat uchhalti girti rahti hai
magar ye KHun-e-muflis hai kabhi mahnga nahin hoga

tere ehsas ki inTen lagi hain is imarat mein
hamara ghar tere ghar se kabhi uncha nahin hoga

hamari dosti ke bich KHud-gharzi bhi shamil hai
ye be-mausam ka phal hai ye bahut miTha nahin hoga

purane shahr ke logon mein ek rasm-e-murawwat hai
hamare pas aa jao kabhi dhoka nahin hoga

ye aisi choT hai jis ko hamesha dukhte rahna hai
ye aisa zaKHm hai jo umr bhar achchha nahin hoga